Ik Baar kar ke aitbar likh do,
Kitna hai mujh se pyar likh do,
Kat ti nahi ye zindgi ab tere bin,
Kitna karoon aur intzaar likh do..
Taras rahe hain badi muddat se,
Is bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewaney ho jayein jise padh ke hum,
Kuch aisa tum mere naam likh do..
Zyada nahi likh sakte to mat likho,
Mohabbat bhare lavz do char likh do,
Ik baar likho mohabbat hai tumse,
Phir yehi jumla baar baar likh do <3

