Sunday, 25 August 2013

For Her ; For My Heartbeat

I Can't Live Without You

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga
hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane
laga hai tu
Teri chahton ka chaaya hai saroor is
qadar
Har pal har jagah nazar aane laga
hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se
pehle
Khushiyon ke sapne mujhe dhikane
laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi
“Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein
samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata
hoon main
Ho ke juda kyun mujhe azmaane
laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh
gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga
hai tu
Naam koi bhi loon to naam aaye
tera labon pe
Ban ke jadu meri rooh mein
samaane laga hai tu
Teri yaadon se hi aksar hota hai dil
munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein
samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur
kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga
hai tu
Tasveer mein aksar hota hai yeh
mehsoos mujhe
Chhod k duniya meri baahon mein
samaane laga hai tu <3 <3 <3
Love U ....

Thursday, 14 March 2013

Dedicated ! Tum Ho Paas Mere ... :)

A POEM DEDICATED TO MY LOVE <3

Mere Sawan Bhi Tum Ho ,
Meri Pyaas Bhi Tum Ho,..!
Sehra Ki Baahon Mein Chhupi Aas Bhi Tum Ho,..!
Tum Yun To Bahut Door Bahut Door Ho Mujhse,..
Ehsaas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Ho,..!
Har Zakhm Ki Aaghosh Mein Hai Dard Tumhara,..
Har Dard Mein Rahat Ka Ehsaas Bhi Tum Ho,..!
Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Raahein,
Mil Jao To Phir Jeene Ka Ehsaas Bhi Tum Ho,..!
Likhta Hun To Tum Hi Utartey Ho Kalam Se,
Parhta Hu To ,
Lehja Bhi Tum Awaz Bhi Tum Ho,..!
Tum Ho ...
Paas Mere, Paas Mere Ho Tum Yunnn..
Jitna Mehsoos Karu Tumko, Utna Hi Paa Bhi Lu....!
:)