Monday, 31 March 2014

Kitna Hai Mujhse Pyar Likh Do


Ik Baar kar ke aitbar likh do,
Kitna hai mujh se pyar likh do,
Kat ti nahi ye zindgi ab tere bin,
Kitna karoon aur intzaar likh do..

Taras rahe hain badi muddat se,
Is bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewaney ho jayein jise padh ke hum,
Kuch aisa tum mere naam likh do..

Zyada nahi likh sakte to mat likho,
Mohabbat bhare lavz do char likh do,
Ik baar likho mohabbat hai tumse,
Phir yehi jumla baar baar likh do <3

Sunday, 30 March 2014

Mujhe Usse Pyar Ho Gaya :)

Haa Mujhe Ussghe Pyar Ho Gaya,
Ak Pal Me Na Jaane Kya Ho Gaya,
Yun To Mai Roz Usse Milta Hun,
Na Jaane Aaj Use Dekhte Hi Muhe Kya Ho Gaya..
Wo Bhi Mujhse Izhaar Kar Na Saki,
Main Bhi Naa Jaane Kaha Kho Gaya,,
Aaj Usne Bahot Pyar Se Puchha Hai,
Wo Kaun Hai Jisse Tumhe Pyar Ho Gaya ??
Main Kaise Usse Kahoon Ke Wo Tum Hi Ho..
<3 <3 <3 Jab Kahna Chaha To Uske Inkar Se Darr Gaya,
Wo Shayad Pyar Karti Hai Mujhse,
Na Jaane Kyon Mujhe Ye Gumaan Ho Gaya,
Kahi Aisa Na Ho Ke Isi Intezar Mein,
Koi Aakar Kahe Wo Kisi Aur Ka Ho Gaya :(
Na Darr Ae Dil Kah De Aaj Usse Ye Baat,
Haa Wo Tum Hi Ho Jisse Mujhe Pyar Ho Gaya :) :) :)

Sunday, 25 August 2013

For Her ; For My Heartbeat

I Can't Live Without You

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga
hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane
laga hai tu
Teri chahton ka chaaya hai saroor is
qadar
Har pal har jagah nazar aane laga
hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se
pehle
Khushiyon ke sapne mujhe dhikane
laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi
“Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein
samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata
hoon main
Ho ke juda kyun mujhe azmaane
laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh
gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga
hai tu
Naam koi bhi loon to naam aaye
tera labon pe
Ban ke jadu meri rooh mein
samaane laga hai tu
Teri yaadon se hi aksar hota hai dil
munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein
samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur
kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga
hai tu
Tasveer mein aksar hota hai yeh
mehsoos mujhe
Chhod k duniya meri baahon mein
samaane laga hai tu <3 <3 <3
Love U ....